Ab kay yuun dil ko saza dee ham nay
Us kee har baat bhula dee ham nay
Eik, Eik Phool bohut yaad aaya
Shakh-e-gul jab woh jala dee ham nay
Aaj tak jiss pe woh sharmatay hein
Baat woh kab kee bhula dee ham nay
Shehr-e-jahan raakh se aabad hua
Aag jab dil kee bhuja dee ham nay
Aaj phir yaad bohut aaya woh
Aaj phir uss ko dua dee ham nay
Koi to baat hai uss mein FAIZ
Har khushi jiss pe luta dee ham nay..